Zakat Sadqa-e-Fitr


➊ 𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁

Jo Shakhs '52 Tola Chandi Ya Sadhe '7 Tola Sona Ya Ismein Se Kisi Ek Ke Qeemat Ka Paisa Rakhta Hai. Wo Maalik e Nisaab Hai Us Par Zakat Dena Farz Hai, Zakat Maal Ka 40wa Hissa Hai , Yaani 'Ek Sau (100) Rupay' Mein Dhaayi (2.5) Rupya.

➋ 𝗦𝗮𝗱𝗾𝗮-𝗲-𝗙𝗶𝘁𝗿

Hadees-e-Mubarak Mein Hai Ki Jab Tak Sadqa-e-Fitra Na Diya Jaye, Bande Ka Roza Zameen Wa Aasman Ke Beech Moallak (Latka) Rahta
Hai.

(Nabi-e-Pak Huzoor ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Huqm Farmaya: Makkah Ki Galiyon Mein Jaakar Ye Ailaan Kardo Ke Sadqa-e-fitra Wajib Hai (Tirmizi)

Isliye Sadqa-e-Fitr Har Sahib-e-Nisaab Par Wajib Hai Ke Wo Apni Aur Apni Chhoti Aulaad Ki Taraf Se Sadqa-e-Fitra Adaa Kare,

''Maujooda Wazan Ke Mutabik (2/Kg 45/G) Gehoon Ya Uski Keemat Hai, Magar Badle Mein Uski Keemat Ka Khyaal Rakhein.

#DiniAuratSMS 
𝙉𝙤𝙩𝙚 :- 𝙎𝙖𝙙𝙦𝙖-𝙚-𝙁𝙞𝙩𝙧𝙖 𝙂𝙖𝙞𝙧 𝙈𝙪𝙨𝙡𝙞𝙢 𝙆𝙤 𝘿𝙚𝙣𝙖 𝙅𝙖𝙞𝙯 𝙉𝙖𝙝𝙞 𝙃𝙖𝙞.
Gair Muslim Ko Dein Doosri Niyat (Help) Se.

Share this info…
Zakat Sadqa-e-Fitr Zakat Sadqa-e-Fitr Reviewed by Dini Aurat on May 19, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.