21 Ramadan
𝟮𝟭 𝗥𝗮𝗺𝗮𝗱𝗮𝗻 𝗦𝗵𝗮𝗵𝗮𝗱𝗮𝘁 𝗛𝗮𝘇𝗿𝗮𝘁 𝗔𝗹𝗶 كرم الله وجه كريم
Shaan e Maula Ali Muskhil Kusha Ko Bayan Karna Is Na cheez Gunahgaar Ki Itni Aukat Nahi. Aapki Gulami Ka Saboot Dete Hue Ek Adna Si Koshish Kar Raha Hoon. Agar Koi Khata Ho To Muaf Farmaye Maula Ali Ki Shane Aqdas Mein Anginat Hadees e Pak Maujood Hain. Jise Chuninda Hadees e Pak Ko Ek Post Mein Likha Hoon.
Hadees-e-Pak Aur Maula Ali Murtaja كرم الله وجه كريم
Ilm Ka Shahar Mera Nabi,
Toh Darwaza Ali Ali
Nabi Ka Dulaara Ali Ali
Khaibar Ka Shaha Ali Ali
Hussain Ka Baba Ali Ali
Fatema Ka Waali Ali Ali
Shamme Wilayat Ali Ali
Shamme Shariat Ali Ali
Haq Ki Haqeeqat Ali Ali
Tafseer-e-Tariqat Ali Ali
𝗛𝗮𝘇𝗿𝗮𝘁 𝗠𝗮𝘂𝗹𝗮 𝗔𝗹𝗶 𝗡𝗲 𝗙𝗮𝗿𝗺𝗮𝘆𝗮
☞ "Main Wo Ali Hoon Jis Ki Baatein Aqlon Ko Hairaan Aur Zehno ko Pareshaan Kar Deti Hain.
Aye Logon Maine Aaj Tak Apni Haqeeqat Ko Tum Par Aashkaar Nahi Kiya.
Agar Main Apni Haqeeqat Aur Fazeelat Se Duniya Walon Ko Aagah Kar Doon Toh Aadhi Duniya Meri Fazeelat Ki Bulandi Sun Kar Mar Jaye
Aur Baki Deewani Ho Jaye.
Main Apne Sirf itne Faza'il Se Parda Uthata Hoon (Bayan Karta Hoon) Jin
Ko Haqeeqi Momin Ka Dil Bardasht Kar Sake."
𝗥𝗲𝗳𝗲𝗿𝗲𝗻𝗰𝗲:-
☞ 𝗞𝗶𝘁𝗮𝗯-𝗨𝗹-𝗦𝗮𝗳𝗲𝗲𝗻, 𝗣𝗮𝗴𝗲 𝟳𝟭
Nisbat Mili Hai Peer Ki Sadka Ali كرم الله وجه كريم Ka Hai
Sabse Alag Tarikh Mein Rutba Ali كرم الله وجه كريم Ka Hai
Sher-e-Khuda Ke Waste Suraj Bhi Palat Gaya
Allah Bhi Naaz Uthaye Wo Sajdah Ali Ka Hai
Khaibar Ka Kanp Jata Hai Apni Jagah Magar
Jo Baatil Ko Hila De Wo Naara Ali Ka Hai.
Naara-e-Haideri Ya Ali Ya Ali...
Maula-e-Qainaat Khalifa-e-Charhum Hazrat Ali 455
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
●Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.
●Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?" Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya "Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."
●Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali كرم الله وجه كريم kaha hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa Rasool'Allah ﷺ Hazrat Ali masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali كرم الله وجه كريم ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.
●Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "Kum Abaa Turaab" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat كرم الله وجه كريم ki kunniyat Abu Turab hogayi.
(Bukhari Shareef, Muslim Shareef, Madarijun Nabuwwat 2/136)
"Tujh Si Kuwwat Jahan Me Kisi Ki Nahi
Bole Shamsheer Thak Kar Ke Tham Ja Ali
Sakhiyo Ke Sakhi Waliyo Ke Wali
Mere Maula Ali Mere Maula Ali.."
21 Ramadan Shahadat Maula-e-Qainaat Haider-e-Karrar Abu Turab Zulfiqar Mushkil Kusha Shere Yazdaan
(Maula Ali Shere Khuda كرم الله وجه كريم)
Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakhon Salam
Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda Baab E Fasle Wilayat Pe Laakhon Salam
Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakhon Salam
Shere Shamsheer-Jaan Shahe Khaibar-Shikan Parvat e Dost Qudrat Pe Laakhon Salam
Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj Haami E Deen O Sunnat Pe Laakhon Salam
Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab Ahle Khairo Adaalat Pe Laakhon Salam
𝗞𝗮𝗹𝗮𝗺-𝗲-𝗜𝗺𝗮𝗮𝗺 𝗔𝗵𝗺𝗮𝗱 𝗥𝗮𝘇𝗮 𝗞𝗵𝗮𝗻 𝗔𝗮𝗹𝗮 𝗛𝗮𝘇𝗿𝗮𝘁 رضي الله عنه
Allah Pak Hum Sabke Dilon Mein Apni Aur Ahle Bait Ki Mohabbat Ata Farmaye.
𝐀𝐚𝐦𝐞𝐞𝐧 🤲🏻
#DiniAuratSMS
21 Ramadan
Reviewed by Dini Aurat
on
May 15, 2020
Rating:
No comments: