𝗘𝗶𝗱 𝗞𝗲 𝗕𝗮𝗮𝗱 𝟲 𝗥𝗼𝘇𝗼𝗻 𝗞𝗶 𝗙𝗮𝘇𝗲𝗲𝗹𝗮𝘁 ‎

𝗘𝗶𝗱 𝗞𝗲 𝗕𝗮𝗮𝗱 𝟲 𝗥𝗼𝘇𝗼𝗻 𝗞𝗶 𝗙𝗮𝘇𝗲𝗲𝗹𝗮𝘁
Jisne Ramadan Ke Roze Rakhe Fir 6 Roze Aur Rakhe Toh
Gunahon Se Aise Nikal Gaya Jaise Aaj Hi
Maa Ke Pet Se Paida Hua Ho
(Majma'uzzawaid Vol 3 Page425 Hadees 5102)

𝗛𝗮𝗱𝗲𝗲𝘀
Jisne Ramadan Ke Baad
6 Shawwal Ke Roze Rakhe Toh Aisa Hai Jaise Dahar Ka
(Yani Umar Bhar Ke Liye) Roza Rakha
(Muslim Sharif Page 592 Hadees 1164)

𝗛𝗮𝗱𝗲𝗲𝘀
Jisne Eidul Fitar Ke Bad (Shawwal Mein) 6 Roze Rakh Liye Toh
Usne Poore Saal Ke Roze Rakhe
Jo Ek Neki Laaega Use 10 Milegi
(Ibne Majah Jild 2 Page 333 Hadees 1715)

Allah Ta'Aala Ke Karam Aur Uske Habeeb ﷺ
Ke Sadqe Saal Bhar Ke Rozo Ka Sawaab
Lootna Kis Qadar Aasaan Kar Diya Gaya
Har Ek Muslman Ko Yeh Sa'adat Haansil Karleni Chahiye
1 Saal Ke Rozo Ke Sawaab Ki Hikmat Ye Hai Ki
Allah ﷻ Ne Hum Gunaahgar
Bando Ke Liye
Mahaz Apne Fazal Se 1 Neki Ka Sawaab
10 Gunaa Rakha Hai

Allah ﷻ  Ka
Farman Hai
Quran Mein

Jo 1 Neki Laaye Toh Uske Liye Us Jaisi 10 Hai
{Para 8 Surah An'aam Aayat 160}

Alhadolillah
Yun Maahe Ramadan Ke Roze 10 Maheeno Ke Barabar Hue
Aur 6 Roze 60 Rozon (2 Maheene) Ke Barabar Is Tarah
Poore Saal Ke Rozon Ka Sawaab Haansil Ho Gaya

Eid Ke Baad Ke 6 Roze Kab Rakhein?

Behtar Ye Hai Ki Ye Roze Mutfaraq
{Yaani Naga Karke} Rakhe Jaaye
Aur Eid Ke Baad Lagaataar 6 Din Mein Ek Sath Rakh Le
Jab Bhi Harj Nahi
{Bahare Shariat Part 5 Page 140}

JOIN WHATSAPP GROUP
http://bit.ly/DiniAuratGroup
Ye Roze Eid Ke Baad Lagataar Rakhe Jaaye Tab Bhi Muzayqa Nahi
Aur Behtar Ye Hai Ki Mutfaraq (Yani Naga Karke) Rakhe Jaaye
Yani Har Hafte Me 2 Roze
Aur Eidul Fitar Ke Dusre Roz 1 Roza Rakehle
Aur Poore Maah Me Rakehe Toh Aur Bhi Munasib Maloom Hota Hai
{Sunni Bahishti Zevar Pge 347}

#DiniAuratSMS

𝗘𝗶𝗱 𝗞𝗲 𝗕𝗮𝗮𝗱 𝟲 𝗥𝗼𝘇𝗼𝗻 𝗞𝗶 𝗙𝗮𝘇𝗲𝗲𝗹𝗮𝘁 ‎ 𝗘𝗶𝗱 𝗞𝗲 𝗕𝗮𝗮𝗱 𝟲 𝗥𝗼𝘇𝗼𝗻 𝗞𝗶 𝗙𝗮𝘇𝗲𝗲𝗹𝗮𝘁 ‎ Reviewed by Dini Aurat on May 29, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.