𝗙𝗮𝘇𝗮𝗶𝗹-𝗲-𝗦𝗵𝗮𝗯-𝗲-𝗘𝗶𝗱-𝘂𝗹-𝗙𝗶𝘁𝗿
𝗙𝗮𝘇𝗮𝗶𝗹-𝗲-𝗦𝗵𝗮𝗯-𝗲-𝗘𝗶𝗱-𝘂𝗹-𝗙𝗶𝘁𝗿
Hazrat Abu Umama رضي الله عنه Se Riwayat Hai Huzoor-e-Akram ﷺ Irshad Farmate Hain Jis Shakhs Ne Dono Eid (Eid Ul Fitr - Eid Ul Adha) Ki Raaton Ko Sawab Ka Yaqeen Rakhte Huwe Zinda Rakha Toh Uss Shakhs Ka Dil Uss Din Na Marega Jis Din Logon Ke Dil Murda Ho Jayenge.
𝗜𝗯𝗻𝗲 𝗠𝗮𝗷𝗮𝗵 𝗦𝗵𝗮𝗿𝗲𝗲𝗳
Eid Ki Raat Ko Zinda Rakhna Matlab Ye Hai Ke Ibadate Ilahi Mein Mashgool Rahe, Ghar Walon Ke Saath Muhabbat Se Pesh Aaye, Rishtedaaron Se Accha Sulook Aur Digar Ibadaton Mein Raat Ko Guzare.
Aur Jo Yeh Farmaya Gaya Ki In Raaton Mein Ibadat Karne Wale Ka Dil Mudra Na Hoga Uska Matlab Yeh Hai Ki Qayamat Ke Din Har Taraf Khauf, Dehshat, Ghabhrahat Hogi Log Badhawaas Aur Madhosh Honge Khauf E Ilahi Se Magar Uss Bande Ko Rabb Tabarak Wa Ta'ala Nea'maton Se Bharpur Zindagi Bakhshega.
Eid Ki Raat Badi Mubarak Aur Baa Barkat Raat Hai Usme Allah Ka Zikr, Darood E Pak Aur Digar Ibadat Zyada Se Zyada Kare Saari Raat Ibadat Na Kar Sake To Jabh Tak Jaag Sakta Hai Itni Hi Deir Ibadat Kar Lein. Aur Isha Aur Fajr Ki Namaaz Takbeer E Ulaa Ke Saath Baa-Jama'at Adaa Kare.
Kuch Log Iss Mubarak Raat Mein Bazaaron Ki Sajaawat, Chamak Damak, Aur Kharidaaro Ki Bheed Dekhne Bazaro Mein Tafreeh Karte Hai Aur Aisi Mubarak Raat Ka Ziadatar Hissa Bekari Mein Guzarte Hai.
Eid Ki Raat Ye Apne Rabb Se Mangne Ki Raat Hai, Inaam Ki Raat Hai. Jitna Ho Sake Rabb Tabaarak Wa Ta'ala Se Gir-Gira Kar Dua Maange Aur Pichle Gunahon Ki Maafi Talab Kare Aur Aainda Gunahon Se Bachne Ka Ahed Kare.
Maula Tabarak Wa Ta'ala Hum Sab Ko Yeh Mubarak Raat Mein Ibadat Karne Ka Aur Apne Rabb Se Inaam Lene Ka Jazba Ataa Kare.
No comments: