𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗔𝘂𝗿 𝗦𝗮𝗱𝗾𝗮-𝗲-𝗙𝗶𝘁𝗿 𝗞𝗲 𝗠𝗮𝘀𝗮𝗶𝗹


𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗔𝘂𝗿 𝗦𝗮𝗱𝗾𝗮-𝗲-𝗙𝗶𝘁𝗿 𝗞𝗲 𝗠𝗮𝘀𝗮𝗶𝗹

𝗔𝗹 𝗤𝘂𝗿𝗮𝗻 𝗔𝘆𝗲 𝗜𝗺𝗮𝗮𝗻 𝗪𝗮𝗹𝗼𝗻! 𝗛𝘂𝗺 𝗡𝗲 𝗝𝗼 𝗧𝘂𝗺𝗵𝗲 𝗥𝗶𝘇𝗾 𝗗𝗶𝘆𝗮 𝗛𝗮𝗶 𝗨𝘀 𝗠𝗲𝗶𝗻 𝗦𝗲 𝗞𝗵𝗮𝗿𝗰𝗵 𝗞𝗮𝗿𝗼. 
(Para-2 Surah-baqrah Aayat-254)

Nabi-e-Pak ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Huqm Farmaya:
Makkah Ki Galiyon Mein Jaakar Ye Elaan Kardo Ke Sadqa-e-Fitr Wajib Hai
(Tirmizi Shareef)

Sone Ke Kangan Pahanne Wali Aur Toh Kya Tum Pasand Karogi Ke Allah Tumhe Aag Ke Kangan Pahnaye?
Toh Tum In Zewaro Ki Zakat Ada Karo
(Tirmizi Shareef)

𝗠𝗮𝘀𝗹𝗮
Kisi Gareeb Ke Zimma Rupya Baaqi Hai Toh Use Maaf Karne Se Zakat Ada Na Hogi
(Bahar-e-sharia T)

Saal Bhar Khairat Karta Raha Aur Baad Mein Niyyat Ki Ke Jo Diya Wo Zakat Hai Toh Is Tarah Zakat Ada Na Huyi
(Aalamgiri)

Jin Zewrat Ki Malik Aurat Ho Chahe Maike Se Layi Ho Ya Uske Shohar Ne Dekar Malik Banaya Ho Tohn Unki Zakat Ada Karna Aurat Par Farz Hai
(Fatwa-e-razviy A)

𝗠𝗮𝘀𝗹𝗮
Zakat Ka Maal Dete Waqt Ya Alag Karte Waqt Zakat Ki Niyat Hona Zaroori Hai
Niyat Ke Maana: Agar Koi Puchhe Toh Bata Sake
(Aalamgiri)

Allah Ke Liye Maal Ka Ek Hissa Jo Shariat Ne Tay Kiya Uska Musalman Faqeer Ko Malik Bana Dena Shariat Mein Zakat Kehlata Hai
(Fatawa-e-aalam Giri)

Zakat Ada Karne Wale Ka Gosht Allah Aag Par Haram Kar Dega Aur Bagair Hisab Ke Jannat Wajib Kar Dega
(M.Qulub)

𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗜𝗻 𝗟𝗼𝗴𝗼𝗻 𝗞𝗼 𝗗𝗲𝗶𝗻
•Faqeer Kuch Maal Hai Magar Nisaab Ki Miqdar Se Kam Hai
•Miskeen Khane Ke Liye Galla Aur Pahnne Ke Liye Kapda Bhi Na Ho

𝗠𝗮𝘀𝗹𝗮
Maal-e-tijarat Jiski Qeemat Nisaab Ko Pahunche Us Par Bhi Zakaat Waajib Hai.
(Bahar-e-shariat)

𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗙𝗮𝗿𝘇 𝗛𝗼𝗻𝗲 𝗞𝗶 𝗦𝗵𝗮𝗿𝘁𝗲𝗶𝗻
•Musalman Hona
•Baligh
•Sahib-e-Nisab
•Aaqil
•Aazad
•Mal Pe Ek Saal Guzar Jana
•Qabiz Hona
(Aalamgiri.1: 160)

Roza Aasman Aur Zameen Ke Beech Latakta Rahta Hai Jab Tak Sadqa-e-Fitr Ada Na Kiya Jaaye
(Mishkat Shareef)

Jab Tak Sadqa-e-fitra Ada Nahi Kiya Jata Bande Ka Roza Zameeno Aasman Ke Darmiyan Muallak (Latka) Rehta Hai
(Kanzul Ummal,jild-8)

Jab Tak Banda Sadqa-e-fitra Ada Nahi Karta Tabtak Uska Roza Qubool Nahi Hota Hai
(Sunni Bahishti Zewar)

𝗠𝗮𝘀𝗹𝗮
Agar Eid Ka (Chand) Raat Ko Bachcha Paida Hua Tohh Uska Bhi Sadqae Fitr Dena
Sahib E Is'te'ta'at Baap Par Waajib Hai.
(Fatwa Hindiya)

𝗠𝗮𝘀𝗹𝗮
Sadqa-e-Fitr Ka Waqt Umr Bhar Hai Yani Ada Na Kiya Tha Toh Ab Ada Kare Magar Sunnat Eid Ki Namaz Se Pehle Hai
(Durre Mukhar Vol:3,page:362)

Sadqa-e-fitr: 2.045 K.G. Ghehu (Wheat) Ya Uski Qeemat Hai

1 Aadmi Ka Fitr
1 Hi Mohtaj Ko Dena Behtar Hai
1 Se Zyada Ko Bhi Dena Jaiz Hai
Fitra Ke Mustahiq Wo Log Hai Jo Zakat Ke Mustahiq Hai
(Sunni Bahesti Zewar)

•Sadqa-e-fitr
Biwi Ne Bagair HukMein Shauhar Agar Shauhar Ka Fitra Ada Kar Diya Toh Ada Na Huwa.
(Raddul Mukhtar)

Sadqa Is Tarah Gunaho Ko Buja Deta Hai Jis Tarah Paani Aag Ko Buja Deta Hai.
(Mishkat Jild-1, Safa-14)

Sadqa Allah Ta'Aala Ke Gusse Ko Thanda Karta Hai Aur Buri Maut Se Bachata Hai.
(Tirmizi Shareef: 664)
Share this info…
𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗔𝘂𝗿 𝗦𝗮𝗱𝗾𝗮-𝗲-𝗙𝗶𝘁𝗿 𝗞𝗲 𝗠𝗮𝘀𝗮𝗶𝗹 𝗭𝗮𝗸𝗮𝘁 𝗔𝘂𝗿 𝗦𝗮𝗱𝗾𝗮-𝗲-𝗙𝗶𝘁𝗿 𝗞𝗲 𝗠𝗮𝘀𝗮𝗶𝗹 Reviewed by Dini Aurat on May 22, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.