Etikaf
𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳
Ibadat Ki Niyat Se Allah Ta'Aala Ke Liye Masjid Mein Thaharne Ka Naam Etikaf Hai
Etikaf Ki Teen Qismein Hain
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗪𝗮𝗷𝗶𝗯
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗦𝘂𝗻𝗻𝗮𝘁
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗠𝘂𝘀𝘁𝗮𝗵𝗮𝗯
( Durre Mukhtaar Raddul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Etikaf
Jild: 3 Page 492-495 )
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗪𝗮𝗷𝗶𝗯
Jaise Kisi Ne Yah Mannat Mangi Ki Mera Falan Kaam Ho Jaye Toh Main Ek Din Ya Do Din Ya Teen Din Ka Etikaf Karunga
Aur Us Ka Kaam Ho Gaya Toh Yeh Etikaf e Wajib Hai
Aur Is Ka Poora Karna Zaroori Hai,
Yaad Rakho Ki Aetikafe Wajib Ke Liye Roza Shart Hai Baghair Roze Ke Etikaf e Wajib Sahi Nahin
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Etikaf
Jild 3 Page 495-496 )
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗦𝘂𝗻𝗻𝗮𝘁
Ramadan Ke Akhri 10 Dinon Mein Kiya Jayega
Yani 20 Ramadan Ko Sooraj Doobne Se Pehle Etikaf Ki Niyat Se Masjid Mein Dakhil Ho Jayen
Aur 30 Ya 29 Ramadan Ko Sooraj Doobne Ke Baad
29 Ya 30 Ramadan Ko Chand Hone Ke Baad Masjid Se Nikle
Yad Rakho Ki Aetikafe Sunnat Muakkadae Kifayah Hai Yani Muhalle Ke Sab Log Chhod Dein
Ek bhi Na Bethe To Sab Akhirat Ke Muakhze Mein Giraftar Honge
Aur Kisi Ek Ne Bhi AEtikaf Kar Liya Toh Sab Akhirat Ke Muakhze Se Bari Ho Jayenge
Is Aetikaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wo Hi Ramadan Ke Roze Kaafi Hain
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabu Saum Baab Ul AEtikaf
Jild 3 Page 495-496 )
• 𝗘𝘁𝗶𝗸𝗮𝗳 𝗠𝘂𝘀𝘁𝗮𝗵𝗮𝗯
Etikaf Mustahab Yeh Hai Ki Jab Kabhi Bhi Din Ya Raat Mein Masjid Ke Andar Dakhil Ho Toh AEtikaf Ki Niyat Kar Le
Jitni Der Tak Masjid Mein Rahega AEtikaf Ka Sawab Paega
Niyat Mein Sirf Itna Dil Mein Khayal Kar Lena
Aur Munh Se Kah Lena Kaafi Hai Ki Maine Khuda Ke Liye Aetikafe Mustahab Ki Niyat Ki
•𝗠𝗔𝗦𝗟𝗔
Mard Ke Liye Zaruri Hai Ki Masjid Mein AEtikaf Kare
Aur Aurat Apne Ghar Mein Us Jagah AEtikaf Karegi Jo Jagah Us Ne Namaz Padhne Ke Liye Muqarrar Ki Ho
( Durre Mukhtar Kitabul Saum Baab Ul AEtikaf Jild: 3 Page: 493-494 )
•𝗠𝗔𝗦𝗟𝗔
Etikaf Karne Wale Ke Liye Bila Uzr Masjid Se Nikalna Haram Hai
Agar Nikla Toh Etikaf Toot Jayega Chahe Qasdan Nikla Ho Ya Bhool Kar
Isi Tarah Aurat Ne Jis Makaan Mein AEtikaf Kiya Hai Usko Us Ghar Se Bahar Nikalna Haram Hai
Agar Aurat Us Makaan Se Bahar Nikal Gayi Toh
Khwah Woh Qasdan Nikli Ho Ya Bhool Kar Uska Etikaf Toot Jayega
( Durre Mukhtar Kitabul Saum Baab Ul AEtikaf Jild: 3 Page: 501-503)
•𝗠𝗔𝗦𝗟𝗔
Etikaf Karne Wala Sirf Do Uzron Ki Wajah Se Masjid Se Bahar Nikal Sakta Hai
( 1 ) UZRE TABAI
Jaise Peshaab Pakhana Aur Ghusle Farz Wa Wuzu Ke Liye
( 2 ) UZRE SHARAI
Jaise Namaze Juma-a Ke Liye Jana
In Uzron Ke Siwa Kisi Aur Wajah Se Agarche Ek Hi Minute Ke Liye Ho
Masjid Se Agar Nikla Toh AEtikaf Toot Jayega
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul AEtikaf
Jild: 3 Page: 501-503 )
•𝗠𝗔𝗦𝗟𝗔
Etikaf Karne Wala Din Raat Masjid Hi Mein Rahega
Wahin Khaye Piye Soye Magar Yeh Ehtiyat Rakhe Ki Khane Pine Se Masjid Gandi Na Hone Paye
Moatakif ( Etikaf Karne Wala ) Ke Siwa Kisi Aur Ko Masjid Mein Khane Pine Aur Soney Ki Ijazat Nahin Hai
Is Liye Agar Koi Aadmi Masjid Mein Khana Pina Aur Sona Chahe Toh Usko Chahiye Ki Etikaf e Mustahab Ki Niyat Kar Ke Masjid Mein Dakhil Hon
Aur Namaz Padhe Ya Zikre Ilaahi Kare
Fir Uske Liye Khane Pine Aur Soney Ki Bhi Ijazat Hai
( Durre Mukhtar Wa Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Etikaf
Jild 3 Page:506)
•𝗠𝗔𝗦𝗟𝗔
Etikaf Karne Wala Bilkul Hi Chup Na Rahe
Na Bahut Zyadah Logon Se Baat Cheet Kare
Balki Us Ko Chahiye Nafil Namazein Padhe Tilawat Kare Ilm Deen Ka Dars De
Auliya Wa Saliheen Ke Halat Sune Aur Dusron Ko Sunaye
Kasrat Se Durood Shareef Padhe Aur Zikre Ilaahi Kare Aur Aksar Ba Wazu Rahein
Aur Duniyadaari Ke Khayalat Se Dil Ko Paak Saaf Rakhe
Aur Ba Kasrat Ro Ro Kar Gid Gida Kar Khuda Se Duayein Mange...
Etikaf
Reviewed by Dini Aurat
on
May 13, 2020
Rating:
No comments: