𝐉𝐚𝐧𝐠-𝐄-𝐁𝐚𝐝𝐫

𝐉𝐚𝐧𝐠-𝐄-𝐁𝐚𝐝𝐫
Islam Ki Pehli Tareekhi Jang Hai, Jo Hijri 2 Ke 17 Ramadan Mein Hui,

Is Jang Mein Musalmano Ki Tadad 313 Thi Jin Mein 77 Muhajir They Aur 236 Ansar They, Aur Kuffar Ki Tadad Takreeban 1000 Thi.

Jang-e-Badr Mein Musalmano Ki Madad Ke Liye Pehle 1000 Farishte Fir 3000 Fir 5000 Farishte Aaye Badr Mein 70 Kuffar Maare Gaye, Aur 70 Ko Qaidi Banaye Gaye, Aur 14 Musalman Shaheed Hue Jin Mein 6 Ansar Aur 8 Muhajir They.

Badr Madeena Munawwarah Se 80 Meinel Ke Faasle Par Ek Gaon Ka Naam Hai Is Maqaam Par Kuffar Wa Muslimeen Ke Darmiyan Jang-e-Badr Ka Aisa Azeem Waqya Hua,

Jisme Bahut Khoon Baha Aur Musalmano Ko Wo Azeemusshan Fateh Mubeen Naseeb Hui Ke Jis Ke Baad Musalmano Ki Izzat Wa Iqbal Ka Jhanda Buland Ho Gaya Aur Kuffare Quraish Ki Azmat Khaak Mein Mil Gayi.

Us Din Se Islam Ne Aisa Failna Shuru Kiya Ke Aaj Tak Wo Silsila Jari Hai Allah T’Aala Ne Jang-e-Badar Ke Din Ka Naam Yaumul Furqan Rakha,

Is Jang Ki Fateh Par Ahsaan Jatate Hue Allah T’Aala Ne Quran-e-Pak Mein Farmaya Aur Yaqeenan Allah T’Aala Ne Tum Logo Ki Madad Farmayi Badr Mein Jabki Tum Log Kamzor Aur Be Saro Saamaan They Toh Tum Log Allah Se Darte Raho Taaki Tum Shukar Guzaar Ban Jaao
(Surah Al Imran Ayat 123)
Allah Ki Rahmatein Naazil Hon Badr Ke 14 Shaheedon Aur Mujahideen Badr Par
Beshaq Qayamat Tak Aane Waale Har Musalman Par Unka Ahsaan-e-Azeem Hai.
Jang-e-Badr 17 Ramadan 2 Hijri Jumah Ke Din Maqam-e-Badr Par Ladi Gayi,

𝗟𝗮𝘀𝗵𝗸𝗮𝗿-𝗲-𝗜𝘀𝗹𝗮𝗺
Mujahidin: 313
Talwarein: 8
Zirhen:6 Oont: 70
Ghode: 3
Shuhada: 14
Lashkare-Kuffar
Jangju: 1000
Tlwaren: 1000
Zirhen: 950
Oont: 700
Ghode: 100
Maqtol Yani Jo Qatl Hue: 70
Gariftar: 70 Jang E Badr - 313 Vs 1000
Jang-e-Uhad - 700 Vs 3000
Jang-e-Ahzab - 2000 Vs 24000
Jang-e-Tabook - 30,000 Vs Lakhs

Wo 313they Toh Larazta (Kanpta) Tha Zamana, Aaj Hum Karoro Hain Toh Karte Hai Gulami Aakhir Kyun? Jab Se Ye Mohabbat Kamzor Hui Musalman Zalil Ho Gaya Wo Muazaz They Wo Muazaz Hai Wo Muazaz Rahenge, Aaqa ﷺ Ka Ishq Jab Tak Humare Dil Tak Nahi Pahunchta Hum Khawar Hi Rahenge. Waqya Ghazwa-e-Badr Sarkar-e-Do Alam ﷺ
#JANGeBadr17_313

𝐉𝐚𝐧𝐠-𝐄-𝐁𝐚𝐝𝐫 𝐉𝐚𝐧𝐠-𝐄-𝐁𝐚𝐝𝐫 Reviewed by Dini Aurat on May 11, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.